Jeevan



Jeevan mano vo paheli ,
Jisme na jane kitno ne kitni dukh jheli.
Khushiya barsi to mano barsat si...
Nahi to, kat te nindiya dukh raat si...
Yadi faisla na kiya duniya me aane ka hamne 
Fir khahe saval uthaye jivan par tumne 
Jivan mano gardan me bandha hua dhol 
Ab jab band hi diya hai to,
 kyun na bajaya jaye kuch sur taal ke bol....
Kuch bhaaye sunne vale ko 
Kuch jaye dil ke kinaro ko ...
Yadi pachtaye gardan hi hone ka ...
To kya yehi jivan hai aise dukh prashno se jine ka....
Jab bhage tar bitar uus daulat ki khoj me 
Din dhalte aaye uss dukh ke bohj me...
Khushiya na mili dhan sampatti me ..
Vo theheri apni gav ki basti me 
Shuru hua safar jab, 
duniya mithi boli roye....
Ab jab mila hi hai ausar ..
Fir khahe ko chup hoye....
Akhiri din jab hum, mithi nind soye 
Ab najane kyun duniya dukh ki boli roye....
Ek hi to jivan hai , isse kaise zaya krde 
Mauka chalte upar vala najane kiske jholi bharde ...
Jab char din ki zindagi maani hai 
Fir kyun ab isse thukrani hai ..
To thoda khushi sehi jilo 
Saare gum ek dam smjh kr hi pilo .
Jeevan deti hai mauka sabko...
Shaayd agla mauka de apko..
Sabar rakhe thoda tab tak ...
Manzil puri na shayad jab tak..
Jana akhir sabko hai ,
 najane agla daur ho kiska...?
Akhir me sab karma ki baat hai 
Q na tab tak suljhaye jaye paheli uska..

                                                            ~ Umesh Surya

Comments

Popular Post

स्वतंत्र दिवस

Zindagi Aur College

Majdoor...

वीरता