Majdoor...
Majdoor ....
Kyun ye naam sunkar ek garib ka chehra yaad aata hai
Kya vo insan nahi, jinhe bhi dukh satata hai
Hum to masti kre, khushi se Maggie khaye mauj se
Unka kya jinhe chinta hai apni parivar ki sukaksha ke boj se
Itne dino me hum ghar baithe bore hogaye
Najane kitne majdoor patriyo par hi sogaye
Isse kya kahoge ab bewakoofi ya laparvahi
Ye to bas paristithi ke shikaar hai jinki kismat akhir dusro ne syahi...
Tum kya karoge inke maut par, politics?
Are jyada se jyada trend chala doge
Par pao pe padte chalo ko tum kaise mita paoge
Voto bas chale jaa rhe hai chale rhe hai
Ab kinse maddat mange, ab kya hi bol paa rhe hai
Hum jis khidki se Subha ka sunrise dekhte hai
Un eeto se bani vo deewar ka dard ye majdoor hi sehete hai ...
Itne din hogaye chalte ab kya hi farak padta hai
Karibi ka dard akhir ek majdoor hi seheta hai
Kya sochta vo baccha jiske pita ko police bewajah chalte hi mare
Ab pita kaise smjhaye us bacche ko, ki yehi hai hamare rakhvale
Khaki ka power akhir vardi se dikh jata hai
Bina vajah faida uthana akhir ye kitno ko bhata hai
Duniya me itni halchal shayd isiliye bhi hai kyun ab amiro ki bhi hai baari
Kisse farak padta agar mar rhi hoti majdoor ki maa bechari
Dukh sirf itna hi nai ki ye mahamari aaye hai
Ye Apne saath najane kitno ke ghar jalaye hai
Jisne Filmo me villian ke kidar nibhaye
Asliyat me to vo garibo ke masiha paye
Jo abhineta kr rhe ho desh par upkaar
Jinke pass authority thi, voto bankar rhegaye dikkhar
Kavita thodi lami hai par iss dard ko kaise smjhau
Aur Sabdh nahi hai mere pass,
inki paristhithi me kaise darshayo
Dua kare ki hojaye sab kuch phele jaisa
Ab ye lockdown aur nahi saha ja rha hame aisa.
~ Umesh Surya
🙌🙌✨👍🏼🔥
ReplyDelete