2020

Kya kami thi is mahamari me Jo ab naya anth lag rha hai Desh me na jano kitno ka ghar ujad rha hai Kitne sapne dekhe in ane vale varsho ke Tut chale parivar na jane kitne barso ke Ab aisa jivan hai ki kya parso aur kya tarso Log tarse yahan anaj aur tinke bhar pane ke liye sarso Phele se mahamari fir upar se ye aandhi Ab anjane aaya kahan se ye tiddiyon(locusts) ka tofaan Ab to mano insan do pal khane ko pareshan Dosh dene ki addat thi, bas dosh dete hi rhegaye Ye tera vo mera isme najane hum kahan kho chalegaye Ab prakruti ka prakop hai Ab Kis kis ko dosh doge Ab apni hi galtiyo ke liye Kitno ke haath dho oge Phele se mahamari upar se logo ki alag mansik bimari Kuch bachaye hamari jaan to kuch desh ki shaan Hum to keval do pal ghar baithne se pareshaan Jab de rhi prakruti hame itne sanket Q nahi smjh pa rhe hum itna sa ye bhed...