2020
Ye kaisa varsh aagaya...
Jo dekhte hi dekhte sab kha gaya
Phele se thi dukan pe mandi
Ab upar se ye pabandi
Ummed thi ki hoga kuch Aacha is saal
Par mano ho rha hai bura haal
Jo desh the sher ki khal me
Vo simat gaya kuch hi saval me
Jiski takat thi sarvra shresht
Na jane nikla vo kis bhes
Na jane ye varsh kya chahata hai
Har pal koi duniya chod chala jata hai
Najane hamare Irfan bhai se kaise dushmani thi
Q chin liya unhe hamse....
Dekhne ke liye bacha hai hi kaun abse
Na jane kitno ke dil me vo krte the raaj
Puri duniya ro padti unhe yaad krke aaj
Itna kuch chiin liya , ab aur kya kya gavana hai
Ek din shaayd sab thik hoga
Yehi soch ke ab aage badte jana hai
Jinhe samay nai hota tha
kuch pal ke aaram ka...
Vo kaat rahe smaay apna
Lekar naam prabhu shri ram ka
Ghr par baithe rhena bada kathin sabit hota hai
Jo apne ghar hi na pahuncha
Na jane uska kya haal hota hai
Ramzan ka pavan mahine me
Log bahar naa nikal paye
Shaayd pheli baar hua hai aisa
Ki ghr baithe akele iftari khaye
Koi baitha ghr akele to
Koi ghr hi na pahunch paye
Insaniyat ke naate
Q na , hum ghar ghar hi khana batvaye...
Ekta hi ki to baat hai ...
Najane aur kitne aane vali bure raat hai
Akhir vinamrata ki baat
Kuch pal ka hi to saath hai
Ye jang thodi lambi hai
Ab piche nai hat skte hum
Na jane aur kitne samay lage
Isse mita kr hi ab lenge hum dam...
~Umesh Surya
~Umesh Surya
Comments
Post a Comment