2020
Kya kami thi is mahamari me
Jo ab naya anth lag rha hai
Desh me na jano kitno ka ghar ujad rha hai
Kitne sapne dekhe in ane vale varsho ke
Tut chale parivar na jane kitne barso ke
Ab aisa jivan hai ki kya parso aur kya tarso
Log tarse yahan anaj aur tinke bhar pane ke liye sarso
Phele se mahamari fir upar se ye aandhi
Ab anjane aaya kahan se ye tiddiyon(locusts) ka tofaan
Ab to mano insan do pal khane ko pareshan
Dosh dene ki addat thi, bas dosh dete hi rhegaye
Ye tera vo mera isme najane hum kahan kho chalegaye
Ab prakruti ka prakop hai
Ab Kis kis ko dosh doge
Ab apni hi galtiyo ke liye
Kitno ke haath dho oge
Phele se mahamari upar se logo ki alag mansik bimari
Kuch bachaye hamari jaan to kuch desh ki shaan
Hum to keval do pal ghar baithne se pareshaan
Jab de rhi prakruti hame itne sanket
Q nahi smjh pa rhe hum itna sa ye bhed
Shayad pheli dafa hua ho aisa
Jab insan baithe bebas jaisa
Aur khayal na ho ki khushiya dekh payenge kya phele jaisa
Najane ye dukh kahe khatam nahi hota
Ab jivan pe tu kahe ko rota .
Shaayd ye shuruvat hai vipatti abhi baki hai
Ab najane q kal ki fikar hame roj khaye jati hai
Kami thi kuch pal ke pyar ki
do pal ke khushar ki
Ab kami hai jivan ke aadhar ki
Aur ek ummed kuch palke sudhar ki.
~ Umesh Surya
Nice
ReplyDelete