Guess who..?
Kya kabhi samay ke saath kisi majboot pedh ko tutte dekha hai ...?
Humne to sirf kat te dekha hai ....
Lakdiyo ko ek saath rakha jaye to todna mushkil hota hai
Ye kahani humne bhi suni thi bachpan me
Par samay ke chalte yebhi bhul gaye shayad
Saval tha mera logo se.....?
Akhir q gussail hai janta
Q nai unka apas me banta
Nichle istar par to hum bhai bhai hai
Par tv pe q hum banjate kasai hai
Akhir q ummed lagate hai log unse
Jo baate hame apne hi dharm se
Akhir kitna kaam hua in varsho me...?
koi puche jara unse
Hum batt te hai, vo baatt te hai
Bas dharam ke naam par hum hi ko kaat te hai
Jab rhete hum bhai charo me
Q ginte hai vo hame becharo me
Agar abbhi aap nai smjhe to me kaise smjhau
5 saal ka offer laye vo log ...
Akhir unki paheli me kaise suljhao
Vo Bas garib garib krte rhe gaye
Desh ke majdoor train taale behegaye
Amir ghar par bach jaate hai
Fir vahi roj ke log fas jate hai
Akhir hogaye pure 73 saal
Q abbhi marta majdoor behaal
Ummed le gai thi hame dene vote
Par voto keval ginte rhegaye note
Fir kahe ka shok, kahe ko pachtaye
Tumhi ne chuna na , ab khushi manaye !
Vo kuch varsh me chap chale jayenge
Hum jahan the vahi rhe jayenge..
Ganit keval itna hai , ki ekta ki baat hai
Par Hum dekhte apas me keval jaat hai
Vo ladaye hame aapas me vibhajan ke liye
Log mar rhe yahan chutki bhar anaaj ke liye
Akhir kab tak chalega aaisa
Kab ekk jut honge .....?
Kab karenge hum yogdaan hamara
Inhe bhi pata chale ki hame to keval apna desh pyara !
Kuch kahani keval kahani nai saar bhi deti hai
Kabhi kabhi jivan ka Uphaar bhi deti hai
Unity me rahe isi me shayad sabki bhalaye hai
Situation aisi ki ab najane agli kiski bari aaye hai .
~Umesh Surya
Comments
Post a Comment